jab aate hue roka na tumhein phir jate hue kyon rokenge
jab jhoñkā havā kā aatā hai
pattī pattī ko hilātā hai
aur jab phulvārī jhuum uThe jaise aatā hai jaatā hai
jab aate hue rokā na tumheñ phir jaate hue kyoñ rokeñge
jab raat jagat par chhātī hai
tāroñ kī sabhā jamātī hai
sab āñkh-micholī khelte haiñ jab aa.e saverā jaatī hai
jab aate hue rokā na tumheñ phir jaate hue kyoñ rokeñge
aatī rut koī na rok sakā
jaatī rut koī na rok sakā
jag meñ dil kā dukh dil kā sukh laatī rut koī na rok sakā
jab aate hue rokā na tumheñ phir jaate hue kyoñ rokeñge
ye aanā jaanā bahānā hai
aur pal kā milnā fasāna hai
jo aa.e piye pī kar chal de jīvan aisā mai-ḳhāna hai
jab aate hue rokā na tumheñ phir jaate hue kyoñ rokeñge
jab jhonka hawa ka aata hai
patti patti ko hilata hai
aur jab phulwari jhum uThe jaise aata hai jata hai
jab aate hue roka na tumhein phir jate hue kyon rokenge
jab raat jagat par chhati hai
taron ki sabha jamati hai
sab aankh-micholi khelte hain jab aae sawera jati hai
jab aate hue roka na tumhein phir jate hue kyon rokenge
aati rut koi na rok saka
jati rut koi na rok saka
jag mein dil ka dukh dil ka sukh lati rut koi na rok saka
jab aate hue roka na tumhein phir jate hue kyon rokenge
ye aana jaana bahana hai
aur pal ka milna fasana hai
jo aae piye pi kar chal de jiwan aisa mai-KHana hai
jab aate hue roka na tumhein phir jate hue kyon rokenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.