jhilmil jhilmil jhilmil jhilmil raat guzarti jae
jhilmil jhilmil jhilmil jhilmil raat guzartī jaa.e
peḌ aur paude jangal parbat chāñdī meñ haiñ nahā.e
chāñdnī phir ākāsh se utrī khel rahī parbat par
jhilmil paanī chamke jaise chāñdī kī ho gāgar
pavan ke halkoroñ se paanī lahar lahar lahrā.e
jhilmil jhilmil jhilmil jhilmil raat guzartī jaa.e
ik ghar kā chhoTā sā darīcha jis meñ diip jalā hai
aisā lagtā hai ye kisī kā rasta dekh rahā hai
vahm hai shāyad yā sach-much hī saaya sā koī aa.e
jhilmil jhilmil jhilmil jhilmil raat guzartī jaa.e
raat kī ḳhāmoshī likhtī hai jaane kitne fasāne
zinda haiñ ab bhī hiir aur rāñjhā guzre kitne zamāne
jīvan chakr hai har ik yug meñ apne ko dohrā.e
jhilmil jhilmil jhilmil jhilmil raat guzartī jaa.e
jhilmil jhilmil jhilmil jhilmil raat guzarti jae
peD aur paude jangal parbat chandi mein hain nahae
chandni phir aakash se utri khel rahi parbat par
jhilmil pani chamke jaise chandi ki ho gagar
pawan ke halkoron se pani lahar lahar lahrae
jhilmil jhilmil jhilmil jhilmil raat guzarti jae
ek ghar ka chhoTa sa daricha jis mein dip jala hai
aisa lagta hai ye kisi ka rasta dekh raha hai
wahm hai shayad ya sach-much hi saya sa koi aae
jhilmil jhilmil jhilmil jhilmil raat guzarti jae
raat ki KHamoshi likhti hai jaane kitne fasane
zinda hain ab bhi hir aur ranjha guzre kitne zamane
jiwan chakr hai har ek yug mein apne ko dohrae
jhilmil jhilmil jhilmil jhilmil raat guzarti jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.