jiwan ke safar mein rahi
jīvan ke safar meñ raahī
milte haiñ bichhaḌ jaane ko
aur de jaate haiñ yādeñ
tanhā.ī meñ taḌpāne ko
ye ruup kī daulat vaale
kab sunte haiñ dal ke naale
taqdīr ne bechain kar Daalā
un ke kisī dīvāne ko
jo un kī nazar se khele
dukh paa.e musībat jhele
phirte haiñ ye sab albele
dil le ke mukar jaane ko
dil le ke daġhā dete haiñ
ik rog lagā dete haiñ
hans hans ke jaañ dete haiñ
ye husn ke parvāne ko
jiwan ke safar mein rahi
milte hain bichhaD jaane ko
aur de jate hain yaaden
tanhai mein taDpane ko
ye rup ki daulat wale
kab sunte hain dal ke nale
taqdir ne bechain kar Dala
un ke kisi diwane ko
jo un ki nazar se khele
dukh pae musibat jhele
phirte hain ye sab albele
dil le ke mukar jaane ko
dil le ke dagha dete hain
ek rog laga dete hain
hans hans ke jaan dete hain
ye husn ke parwane ko
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 443)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.