Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kale kale baadalon ki chhanw mein uDe

Qateel Shifai

kale kale baadalon ki chhanw mein uDe

Qateel Shifai

MORE BYQateel Shifai

    kaale kaale bādaloñ chhāñv meñ uḌe

    dupaTTa merā jhuum jhuum ke

    ThanDī ThanDī sāvan havāoñ meñ uḌe

    dupaTTa merā jhuum jhuum ke

    dhuup se bhī ye gorī malmal duudh meñ dhul kar aa.ī

    dekhā us ko sūraj ne to kiran kiran sharmā.ī

    bāloñ se jhāñktī shuāoñ meñ uḌe

    dupaTTa merā jhuum jhuum ke

    merā dupaTTa yuuñ lahrā.e jaise mast bagūlā

    phir niile āsmān par saat rañg jhūlā

    rañg-rañgīlī pyaar fazāoñ meñ uḌe

    dupaTTa merā jhuum jhuum ke

    aañkh bachā kar jab koī jhoñkā mujh ko chhūne aa.e

    merā āñchal titlī ban kar siine meñ uḌ jaa.e

    rim-jhim rim-jhim nāchtī ghaTāoñ meñ uḌe

    dupaTTa merā jhuum jhuum ke

    halkī niilī malmal par yuuñ abrak taare Tāñke

    jaise raat sundar devī āsmān se jhāñke

    rim-jhim rim-jhim nāchtī ghaTāoñ meñ uḌe

    dupaTTa merā jhuum jhuum ke

    kale kale baadalon ki chhanw mein uDe

    dupaTTa mera jhum jhum ke

    ThanDi ThanDi sawan ki hawaon mein uDe

    dupaTTa mera jhum jhum ke

    dhup se bhi ye gori malmal dudh mein dhul kar aai

    dekha us ko suraj ne to kiran kiran sharmai

    baalon se jhankti shuaon mein uDe

    dupaTTa mera jhum jhum ke

    mera dupaTTa yun lahrae jaise mast bagula

    ya phir nile aasman par sat rang ka jhula

    rang-rangili pyar ki fazaon mein uDe

    dupaTTa mera jhum jhum ke

    aankh bacha kar jab koi jhonka mujh ko chhune aae

    mera aanchal titli ban kar sine mein uD jae

    rim-jhim rim-jhim nachti ghaTaon mein uDe

    dupaTTa mera jhum jhum ke

    halki nili malmal par yun abrak tare Tanke

    jaise raat ki sundar dewi aasman se jhanke

    rim-jhim rim-jhim nachti ghaTaon mein uDe

    dupaTTa mera jhum jhum ke

    Source :
    • Book : Kalam Qateel Shifai (Pg. 154)
    • Author : Qateel Shifai
    • Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2011)
    • Edition : 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now