kale kale baadalon ki ThanDi ThanDi chhanw mein
kaale kaale bādaloñ kī ThanDī ThanDī chhāñv meñ
ab ke sāvan o pardesī aa jā apne gaañv meñ
duur kahīñ koiliyā bole tan man merā Dole
raah takūñ tirī palak palak meñ ghūñghaT ke paT khole
kañgan khanke hāthoñ meñ aur paa.el chhanke paañv meñ
ab ke sāvan o pardesī aa jā apne gaañv meñ
biit na jaa.eñ tujh bin bālam ye bhīgī barsāteñ
kaise kāTūñ āñkhoñ meñ birhā kī lambī rāteñ
koyal ban ke tujhe pukāroñ maiñ amboh kī chhāñv meñ
ab ke sāvan o pardesī aa jā apne gaañv meñ
kale kale baadalon ki ThanDi ThanDi chhanw mein
ab ke sawan o pardesi aa ja apne ganw mein
dur kahin koiliya bole tan man mera Dole
rah takun teri palak palak mein ghunghaT ke paT khole
kangan khanke hathon mein aur pael chhanke panw mein
ab ke sawan o pardesi aa ja apne ganw mein
bit na jaen tujh bin baalam ye bhigi barsaten
kaise kaTun aankhon mein birha ki lambi raaten
koyal ban ke tujhe pukaron main amboh ki chhanw mein
ab ke sawan o pardesi aa ja apne ganw mein
- Book : Kalam Qateel Shifai (Pg. 160)
- Author : Qateel Shifai
- Publication : Farid Book Depot Pvt. Ltd (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.