kahan tak sunoge kahan tak sunaun
kahāñ tak sunoge kahāñ tak sunā.ūñ
hazāroñ hī shikve haiñ kyā kyā sunā.ūñ
huzūr aap par ik jahāñ kī nazar hai
nigāh-e-karam se bhī mujh ko ye Dar hai
jahāñ kī nazar meñ kahīñ aa na jā.ūñ
kahāñ tak sunoge kahāñ tak sunā.ūñ
zamāna huā hai mujhe muskurā.e
mohabbat meñ kyā kyā na sadme uThā.e
kise yaad rakkhūñ kise bhuul jā.ūñ
kahāñ tak sunoge kahāñ tak sunā.ūñ
duā hai yahī kuchh zabāñ tak na aa.e
mohabbat kā shikva bayāñ tak na aa.e
jaleñ zaḳhm dil ke magar muskurā.ūñ
kahāñ tak sunoge kahāñ tak sunā.ūñ
kahāñ tak sunoge kahāñ tak sunā.ūñ
hazāroñ hī shikve haiñ kyā kyā sunā.ūñ
kahan tak sunoge kahan tak sunaun
hazaron hi shikwe hain kya kya sunaun
huzur aap par ek jahan ki nazar hai
nigah-e-karam se bhi mujh ko ye Dar hai
jahan ki nazar mein kahin aa na jaun
kahan tak sunoge kahan tak sunaun
zamana hua hai mujhe muskurae
mohabbat mein kya kya na sadme uThae
kise yaad rakkhun kise bhul jaun
kahan tak sunoge kahan tak sunaun
dua hai yahi kuchh zaban tak na aae
mohabbat ka shikwa bayan tak na aae
jalen zaKHm dil ke magar muskuraun
kahan tak sunoge kahan tak sunaun
kahan tak sunoge kahan tak sunaun
hazaron hi shikwe hain kya kya sunaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.