Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kaho kaho main git hun

Sohan Rahi

kaho kaho main git hun

Sohan Rahi

MORE BYSohan Rahi

    kaho kaho maiñ giit huuñ tire laboñ miit huuñ

    mohabbatoñ raah meñ haar hai maiñ jiit huuñ

    bahār-e-zindagī huuñ maiñ hasīñ kalī kalī huuñ maiñ

    maiñ phuul phuul tāzgī ki nuur meñ palī huuñ maiñ

    najar najar jo hai basī vo gungunātī piit huuñ

    kaho kaho maiñ giit huuñ

    maiñ chāñd huuñ maiñ chāñdnī qadam qadam pe raushnī

    maiñ jhiil tāroñ se bharī maiñ muskurātī zindagī

    maiñ jism ke sitār meñ amar suroñ giit huuñ

    kaho kaho maiñ giit huuñ

    maiñ badrī aur pavan maiñ dhartī aur gagan

    devtā rutoñ hai maiñ rang ruup dulhan

    maiñ sho.aloñ chunar tale himālya shiit huuñ

    kaho kaho maiñ giit huuñ

    pyaas hai maiñ jaam huuñ maiñ terī sub.h-o-shām huuñ

    ishq-e-nā-tamām hai maiñ husn-e-nā-tamām huuñ

    huuñ tere saath har janam yugoñ purānī riit huuñ

    kaho kaho maiñ giit huuñ

    kaho kaho main git hun tere labon ki mit hun

    mohabbaton ki rah mein tu haar hai main jit hun

    bahaar-e-zindagi hun main hasin kali kali hun main

    main phul phul tazgi ki nur mein pali hun main

    najar najar jo hai basi wo gungunati pit hun

    kaho kaho main git hun

    main chand hun main chandni qadam qadam pe raushni

    main jhil taron se bhari main muskuraati zindagi

    main jism ke sitar mein amar suron ka git hun

    kaho kaho main git hun

    main badri aur tu pawan main dharti aur tu gagan

    tu dewta ruton ka hai main rang rup ki dulhan

    main shoalon ki chunar tale himalya ki shit hun

    kaho kaho main git hun

    tu pyas hai main jam hun main teri subh-o-sham hun

    tu ishq-e-na-tamam hai main husn-e-na-tamam hun

    hun tere sath har janam yugon purani rit hun

    kaho kaho main git hun

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now