kisi patthar ki murat se mohabbat ka irada hai
kisī patthar kī mūrat se mohabbat kā irāda hai
parastish kī tamannā hai ibādat kā irāda hai
jo dil kī dhaḌkaneñ samjhe na āñkhoñ kī zabāñ samjhe
nazar kī guftugū samjhe na jazboñ kā bayāñ samjhe
usī ke sāmne us kī shikāyat kā irāda hai
sunā hai har javāñ patthar ke dil meñ aag hotī hai
magar jab tak na chheḌo sharm ke parde meñ sotī hai
ye sochā hai ki dil kī baat us ke rū-ba-rū kar deñ
har ik bejā takalluf se baġhāvat kā irāda hai
mohabbat be-ruḳhī se aur bhaḌkegī vo kyā jaane
tabī.at is adā par aur phaḌkegī vo kyā jaane
vo kyā jaane ki apnī kis qayāmat kā irāda hai
kisi patthar ki murat se mohabbat ka irada hai
parastish ki tamanna hai ibaadat ka irada hai
jo dil ki dhaDkanen samjhe na aankhon ki zaban samjhe
nazar ki guftugu samjhe na jazbon ka bayan samjhe
usi ke samne us ki shikayat ka irada hai
suna hai har jawan patthar ke dil mein aag hoti hai
magar jab tak na chheDo sharm ke parde mein soti hai
ye socha hai ki dil ki baat us ke ru-ba-ru kar den
har ek beja takalluf se baghawat ka irada hai
mohabbat be-ruKHi se aur bhaDkegi wo kya jaane
tabiat is ada par aur phaDkegi wo kya jaane
wo kya jaane ki apni kis qayamat ka irada hai
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 325)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.