kya miliye aise logon se jin ki fitrat chhupi rahe
kyā miliye aise logoñ se jin kī fitrat chhupī rahe
naqlī chehra sāmne aa.e aslī sūrat chhupī rahe
ḳhud se bhī jo ḳhud ko chhupā.eñ kyā un se pahchān kareñ
kyā un ke dāman se lipTeñ kyā un kā armān kareñ
jin kī aadhī niyyat ubhre aadhī niyyat chhupī rahe
naqlī chehra sāmne aa.e aslī sūrat chhupī rahe
jin ke zulm se dukhī hai jantā har bastī har gaañv meñ
dayā dharam kī baat kareñ vo baiTh ke sajī sabhāoñ meñ
daan kā charchā ghar ghar pahuñche luuT kī daulat chhupī rahe
naqlī chehra sāmne aa.e aslī sūrat chhupī rahe
dekheñ in naqlī chehroñ kī kab tak jai-jai-kār chale
ujle kapḌoñ kī tah meñ kab tak kaalā sansār chale
kab tak logoñ kī nazroñ se chhupī haqīqat chhupī rahe
naqlī chehra sāmne aa.e aslī sūrat chhupī rahe
kya miliye aise logon se jin ki fitrat chhupi rahe
naqli chehra samne aae asli surat chhupi rahe
KHud se bhi jo KHud ko chhupaen kya un se pahchan karen
kya un ke daman se lipTen kya un ka arman karen
jin ki aadhi niyyat ubhre aadhi niyyat chhupi rahe
naqli chehra samne aae asli surat chhupi rahe
jin ke zulm se dukhi hai janta har basti har ganw mein
daya dharam ki baat karen wo baiTh ke saji sabhaon mein
dan ka charcha ghar ghar pahunche luT ki daulat chhupi rahe
naqli chehra samne aae asli surat chhupi rahe
dekhen in naqli chehron ki kab tak jai-jai-kar chale
ujle kapDon ki tah mein kab tak kala sansar chale
kab tak logon ki nazron se chhupi haqiqat chhupi rahe
naqli chehra samne aae asli surat chhupi rahe
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 464)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.