na bujh jae agan teri lagan ki
na bujh jaa.e agan terī lagan kī
mujhe āñchal se apne phir havā do
bharo phir rang mere man gagan meñ
fazāoñ meñ dhanak koī uchhālo
maiñ sapnoñ kī lachīlī Tahniyoñ se
saman gītoñ ke chunñā chāhtā huuñ
jo sātoñ rang bhar de merī lai meñ
madhur vo Dor bunñā chāhtā huuñ
mahak bhar do mire patjhaḌ meñ sajnī
mirī rāheñ bahāroñ se sajā do
mujhe āñchal se apne phir havā do
ye uljhī uljhī sāñseñ mere tan se
bichhaḌ kar kis jahāñ ko jā rahī haiñ
koī in kā Thikānā hai kahīñ par
koī pūchhe kahāñ ko jā rahī haiñ
chale aao samāñ to ruk nā paa.e
rasīle bol do mujh ko sunā do
mujhe āñchal se apne phir havā do
na bujh jae agan teri lagan ki
mujhe aanchal se apne phir hawa do
bharo phir rang mere man gagan mein
fazaon mein dhanak koi uchhaalo
main sapnon ki lachili Tahniyon se
saman giton ke chunna chahta hun
jo saton rang bhar de meri lai mein
madhur wo Dor bunna chahta hun
mahak bhar do mere patjhaD mein sajni
meri rahen bahaaron se saja do
mujhe aanchal se apne phir hawa do
ye uljhi uljhi sansen mere tan se
bichhaD kar kis jahan ko ja rahi hain
koi in ka Thikana hai kahin par
koi puchhe kahan ko ja rahi hain
chale aao saman to ruk na pae
rasile bol do mujh ko suna do
mujhe aanchal se apne phir hawa do
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.