nazar se dil mein samane wale meri mohabbat tere liye hai
nazar se dil mein samane wale meri mohabbat tere liye hai
Sahir Ludhianvi
MORE BYSahir Ludhianvi
nazar se dil meñ samāne vaale mirī mohabbat tire liye hai
vafā kī duniyā meñ aane vaale vafā kī daulat tire liye hai
khaḌī huuñ maiñ tere rāste meñ javāñ umīdoñ ke phuul le kar
mahaktī zulfoñ bahaktī nazroñ kī garm jannat tire liye hai
sivā tirī aarzū ke is dil meñ koī bhī aarzū nahīñ hai
har ek jazba har ek dhaḌkan har ek hasrat tire liye hai
mire ḳhayāloñ ke naram paudoñ se jhāñk kar muskurāne vaale
hazār ḳhvāboñ se jo sajī hai vo ik haqīqat tire liye hai
nazar se dil mein samane wale meri mohabbat tere liye hai
wafa ki duniya mein aane wale wafa ki daulat tere liye hai
khaDi hun main tere raste mein jawan umidon ke phul le kar
mahakti zulfon bahakti nazron ki garm jannat tere liye hai
siwa teri aarzu ke is dil mein koi bhi aarzu nahin hai
har ek jazba har ek dhaDkan har ek hasrat tere liye hai
mere KHayalon ke naram paudon se jhank kar muskurane wale
hazar KHwabon se jo saji hai wo ek haqiqat tere liye hai
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 277)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.