pighli aag se saghar bhar le
pighlī aag se sāġhar bhar le
kal marnā hai aaj hī mar le
ab na kabhī ye raat Dhalegī ab na kabhī jāgegā saverā
soch hai kis kī fikr hai kis kī is duniyā meñ kaun hai terā
koī nahīñ jo terī ḳhabar le
pighlī aag se sāġhar bhar le
qudrat andhī duniyā bahrī
kaale paḌ ga.e ḳhvāb sunahrī
toḌ bhī de ab ḳhvāb kā rishta chhoḌ bhī de jazbāt se laḌnā
aaj nahīñ to kal samjhegā mushkil hai hālāt se laḌnā
jo hālāt karā.eñ kar le
pighlī aag se sāġhar bhar le
band hai nekī kā darvāza
aap uThā le apnā janāza
koī nahīñ jo bojh uThā.e apnī zinda lāshoñ kā
ḳhatm hī kar de aaj fasāna in be-dard tamāshoñ kā
jān-e-tamannā jaañ se guzar le
pighlī aag se sāġhar bhar le
pighli aag se saghar bhar le
kal marna hai aaj hi mar le
ab na kabhi ye raat Dhalegi ab na kabhi jagega sawera
soch hai kis ki fikr hai kis ki is duniya mein kaun hai tera
koi nahin jo teri KHabar le
pighli aag se saghar bhar le
qudrat andhi duniya bahri
kale paD gae KHwab sunahri
toD bhi de ab KHwab ka rishta chhoD bhi de jazbaat se laDna
aaj nahin to kal samjhega mushkil hai haalat se laDna
jo haalat karaen kar le
pighli aag se saghar bhar le
band hai neki ka darwaza
aap uTha le apna janaza
koi nahin jo bojh uThae apni zinda lashon ka
KHatm hi kar de aaj fasana in be-dard tamashon ka
jaan-e-tamanna jaan se guzar le
pighli aag se saghar bhar le
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 375)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.