rahi man mein jot jaga le
raahī man meñ jot jagā le
raah ke añdhiyāre chamkā le
raahī man meñ jot jagā le
aas nirās kā ghor añdherā
dekhnā tujh ko nigal na jaa.e
hañsne ko haiñ ab ujiyāle
raahī man meñ jot jagā le
duur hai manzil raah akelī
koī nahīñ hai sang tire
āshāoñ ke diip jalā le
raahī man meñ jot jagā le
dhuul uḌtī hai jalte path par
koī nahīñ hai saaya bhī
mere prem kā āñchal sarkā le
raahī man meñ jot jagā le
rahi man mein jot jaga le
rah ke andhiyare chamka le
rahi man mein jot jaga le
aas niras ka ghor andhera
dekhna tujh ko nigal na jae
hansne ko hain ab ujiyale
rahi man mein jot jaga le
dur hai manzil rah akeli
koi nahin hai sang tere
aashaon ke dip jala le
rahi man mein jot jaga le
dhul uDti hai jalte path par
koi nahin hai saya bhi
mere prem ka aanchal sarka le
rahi man mein jot jaga le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.