rahi tu chalta chal
'rāhī' tū chaltā chal
'rāhī' chaltā chal
tujh ko manzil DhūñD hī legī
aaj nahīñ to kal
'rāhī' tū chaltā chal
hoñTh rasīle madh ke pyāse
sundar sundar chāñd ke haale
niiñd bhañvar se ras matvāle
ye terī rāheñ kāTeñge
in se bach ke nikal
'rāhī' tū chaltā chal 'rāhī' chaltā chal
piit kī koī Dor banegā
dard-bhare tire giit sunegā
koī tire aañsū bhī chunegā
ruup ke banjāroñ se terā
man hogā be-kal
'rāhī' tū chaltā chal
'rāhī' chaltā chal
dukh barkhā kī badrī pī le
birah-agan meñ jal kar jī le
jīvan kā har ghaav sī le
nainoñ se dukh kī rachnā kā
bahne de kājal
'rāhī' tū chaltā chal
'rāhī' chaltā chal
'rahi' tu chalta chal
'rahi' chalta chal
tujh ko manzil DhunD hi legi
aaj nahin to kal
'rahi' tu chalta chal
honTh rasile madh ke pyase
sundar sundar chand ke haale
nind bhanwar se ras matwale
ye teri rahen kaTenge
in se bach ke nikal
'rahi' tu chalta chal 'rahi' chalta chal
pit ki koi Dor banega
dard-bhare tere git sunega
koi tere aansu bhi chunega
rup ke banjaron se tera
man hoga be-kal
'rahi' tu chalta chal
'rahi' chalta chal
dukh barkha ki badri pi le
birah-agan mein jal kar ji le
jiwan ka har ghaw si le
nainon se dukh ki rachna ka
bahne de kajal
'rahi' tu chalta chal
'rahi' chalta chal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.