tare to den tane mujhko chanda mujhe taDpae
taare to deñ ta.ane mujh ko chandā mujhe taḌpā.e
rain birah kī saa.eñ saa.eñ kar ke roz Darā.e
bālam haiñ pardesī sakhī re
niiñd na mujh ko aa.e
phūloñ se bhauñrā kartā hai mīThī mīThī bāteñ
din mere haiñ suune suune ujḌī ujḌī rāteñ
bālam haiñ pardesī sakhī re
niiñd na mujh ko aa.e
mujh se pūchh batā.ūñ tujh ko birhan kyā hai sajnī
sāñjh-savere chain na aa.e sulge man meñ agnī
bālam haiñ pardesī sakhī re
jīvan biitā jaa.e
tare to den tane mujh ko chanda mujhe taDpae
rain birah ki saen saen kar ke roz Darae
baalam hain pardesi sakhi re
nind na mujh ko aae
phulon se bhaunra karta hai miThi miThi baaten
din mere hain sune sune ujDi ujDi raaten
baalam hain pardesi sakhi re
nind na mujh ko aae
mujh se puchh bataun tujh ko birhan kya hai sajni
sanjh-sawere chain na aae sulge man mein agni
baalam hain pardesi sakhi re
jiwan bita jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.