tum chali jaogi parchhaiyan rah jaengi
tum chalī jāogī parchhā.iyāñ rah jā.eñgī
kuchh na kuchh husn kī ra.anā.iyāñ rah jā.eñgī
tum ki us jhiil ke sāhil pe milī ho mujh se
jab bhī dekhūñgā yahīñ mujh ko nazar aaogī
yaad miTtī hai na manzar koī miT saktā hai
duur jā kar bhī tum apne ko yahīñ pāogī
ghul ke rah jā.egī jhoñkoñ meñ badan kī ḳhushbū
zulf kā aks ghaTāoñ meñ rahegā sadiyoñ
phuul chupke se churā leñge laboñ kī surḳhī
ye javāñ husn fazāoñ meñ rahegā sadiyoñ
is dhaḌaktī huī shādāb-o-hasīñ vaadī meñ
ye na samjho ki zarā der kā qissa ho tum
ab hamesha ke liye mere muqaddar kī tarah
in nazāroñ ke muqaddar kā bhī hissa ho tum
tum chalī jāogī parchhā.iyāñ rah jā.eñgī
kuchh na kuchh husn kī ra.anā.iyāñ rah jā.eñgī
tum chali jaogi parchhaiyan rah jaengi
kuchh na kuchh husn ki ranaiyan rah jaengi
tum ki us jhil ke sahil pe mili ho mujh se
jab bhi dekhunga yahin mujh ko nazar aaogi
yaad miTti hai na manzar koi miT sakta hai
dur ja kar bhi tum apne ko yahin paogi
ghul ke rah jaegi jhonkon mein badan ki KHushbu
zulf ka aks ghaTaon mein rahega sadiyon
phul chupke se chura lenge labon ki surKHi
ye jawan husn fazaon mein rahega sadiyon
is dhaDakti hui shadab-o-hasin wadi mein
ye na samjho ki zara der ka qissa ho tum
ab hamesha ke liye mere muqaddar ki tarah
in nazaron ke muqaddar ka bhi hissa ho tum
tum chali jaogi parchhaiyan rah jaengi
kuchh na kuchh husn ki ranaiyan rah jaengi
- Book : Kulliyat-e-Sahir Ludhianvi (Pg. 386)
- Author : SAHIR LUDHIANVI
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.