kyā tum sapnoñ kī maayā ho
yā is jīvan kī chhāyā ho
yūñhī jaal meñ mat uljhāo hameñ
tum kaun ho ye to batāo hameñ
dhartī par phailā jangal ho
ākāsh kā chanchal bādal ho
ye pahelī aaj bujhāo hasīñ
tum kaun ho ye to batāo hameñ
kyā pahle kabhī sanjog huā
yā aaj hī dil ko rog huā
bolo bhī na ab tarsāo hameñ
tum kaun ho ye to batāo hameñ
kabhī aap hī aag lagātī ho
kabhī aap hī is ko bujhātī ho
kaisī riit hai aao sujhāo hameñ
tum kaun ho ye to batāo hameñ
kya tum sapnon ki maya ho
ya is jiwan ki chhaya ho
yunhi jal mein mat uljhao hamein
tum kaun ho ye to batao hamein
dharti par phaila jangal ho
aakash ka chanchal baadal ho
ye paheli aaj bujhao hasin
tum kaun ho ye to batao hamein
kya pahle kabhi sanjog hua
ya aaj hi dil ko rog hua
bolo bhi na ab tarsao hamein
tum kaun ho ye to batao hamein
kabhi aap hi aag lagati ho
kabhi aap hi is ko bujhati ho
kaisi rit hai aao sujhao hamein
tum kaun ho ye to batao hamein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.