aa baiTh to mere samne o dildar planning karte hain
aa baiTh to mere samne o dildar planning karte hain
Mannan Qdeer Mannan
MORE BYMannan Qdeer Mannan
aa baiTh to mere sāmne o dildār planning karte haiñ
duniyā se bachānā hai kaise ab pyaar planning karte haiñ
har ek pe kab khulte haiñ ye ai dost tumheñ ma.alūm to hai
kuchh ḳhaas parindoñ se mil kar ashjār planning karte haiñ
so shak kī koī gunjā.ish na.iiñ ye baat ayaañ to sab par hai
jab mil baiTheñ to zāhir hai phir yaar planning karte haiñ
lagtā hai asar nahīñ kartī ab koī bhī davā un par sāhib
har roz masīhā se mil kar bīmār planning karte haiñ
ye dasht hai itnā sahl nahīñ is vīrāne meñ rah jaanā
kuchh soch ke hī ham vahshat meñ har baar planning karte haiñ
jo sochte haiñ vo hotā na.iiñ jo na.iiñ hotā vo sochte haiñ
yuuñ lagtā hai 'mannān' ki ham be-kār planning karte haiñ
aa baiTh to mere samne o dildar planning karte hain
duniya se bachana hai kaise ab pyar planning karte hain
har ek pe kab khulte hain ye ai dost tumhein malum to hai
kuchh KHas parindon se mil kar ashjar planning karte hain
so shak ki koi gunjaish nain ye baat ayan to sab par hai
jab mil baiThen to zahir hai phir yar planning karte hain
lagta hai asar nahin karti ab koi bhi dawa un par sahib
har roz masiha se mil kar bimar planning karte hain
ye dasht hai itna sahl nahin is virane mein rah jaana
kuchh soch ke hi hum wahshat mein har bar planning karte hain
jo sochte hain wo hota nain jo nain hota wo sochte hain
yun lagta hai 'mannan' ki hum be-kar planning karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.