aa gae hain qarin-e-dosh miyan
aa ga.e haiñ qarīn-e-dosh miyāñ
ain-mumkin rahe na hosh miyāñ
baat saarī hī rahguzar kī hai
kyā musāfir kā is meñ dosh miyāñ
lamha-e-vasl meñ havas darkār
ishq kyā hai siyāh-posh miyāñ
is qadar rābte baḌhā.e ga.e
rah ga.e zābte ḳhamosh miyāñ
kyā sitam hai hamārī bastī meñ
gul hue kitne gul-farosh miyāñ
ab kahāñ hai sadā-e-zaḳhm-e-jigar
ab kahāñ hai havā-e-hosh miyāñ
zindagī sar-barahna hai 'iqrār'
ādamiyyat magar ḳhamosh miyāñ
aa gae hain qarin-e-dosh miyan
ain-mumkin rahe na hosh miyan
baat sari hi rahguzar ki hai
kya musafir ka is mein dosh miyan
lamha-e-wasl mein hawas darkar
ishq kya hai siyah-posh miyan
is qadar rabte baDhae gae
rah gae zabte KHamosh miyan
kya sitam hai hamari basti mein
gul hue kitne gul-farosh miyan
ab kahan hai sada-e-zaKHm-e-jigar
ab kahan hai hawa-e-hosh miyan
zindagi sar-barahna hai 'iqrar'
aadamiyyat magar KHamosh miyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.