aa gai manzil-e-maqsud nazar aap se aap
aa ga.ī manzil-e-maqsūd nazar aap se aap
chal paḌe ham tirī chāhat meñ jidhar aap se aap
kashish-e-husn kā hotā hai asar aap se aap
laakh pahre hoñ pa uThtī hai nazar aap se aap
dekhnā aisī koī baat na nikle muñh se
yā'nī jis baat ke lag jaate haiñ par aap se aap
justujū shukr hai minnat-kash-e-rahbar na huī
mil ga.ī ham ko tirī rāhguzar aap se aap
jab mahaktā hai tasavvur tirā tanhā.ī meñ
jagmagā uThtā hai yādoñ kā nagar aap se aap
raat kitne hī sitāroñ kā lahū piitī hai
kaun kahtā hai ki hotī hai sahar aap se aap
apne muñh apnī satā.ish nahīñ achchhī 'rahmat'
muñh se bol uThtā hai lākhoñ meñ hunar aap se aap
aa gai manzil-e-maqsud nazar aap se aap
chal paDe hum teri chahat mein jidhar aap se aap
kashish-e-husn ka hota hai asar aap se aap
lakh pahre hon pa uThti hai nazar aap se aap
dekhna aisi koi baat na nikle munh se
ya'ni jis baat ke lag jate hain par aap se aap
justuju shukr hai minnat-kash-e-rahbar na hui
mil gai hum ko teri rahguzar aap se aap
jab mahakta hai tasawwur tera tanhai mein
jagmaga uThta hai yaadon ka nagar aap se aap
raat kitne hi sitaron ka lahu piti hai
kaun kahta hai ki hoti hai sahar aap se aap
apne munh apni sataish nahin achchhi 'rahmat'
munh se bol uThta hai lakhon mein hunar aap se aap
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.