aa gai nind sar-e-sham KHuda KHair kare
aa ga.ī niiñd sar-e-shām ḳhudā ḳhair kare
kis liye mil gayā ārām ḳhudā ḳhair kare
thā to āġhāz mohabbat kā bahut hī pur-kaif
aur ab talḳh hai anjām ḳhudā ḳhair kare
dāstān-e-rasan-o-dār na taaza ho jaa.e
un ke lab par hai mirā naam ḳhudā ḳhair kare
be-irāda lab-e-māyūs pe kyoñ aaya hai
shikva-e-gardish-e-ayyām ḳhudā ḳhair kare
ab na maiḳhāne meñ vo aglī sī raunaq baaqī
na vo miinā hai na vo jaam ḳhudā ḳhair kare
ḳhalish-e-dard hī marne ke liye kyā kam thī
us pe ye hasrat-o-ālām ḳhudā ḳhair kare
husn-e-dil toḌ ke mamdūh-e-jahāñ hai 'arshad'
haa.e ye ḳhū-e-dil-ārām ḳhudā ḳhair kare
aa gai nind sar-e-sham KHuda KHair kare
kis liye mil gaya aaram KHuda KHair kare
tha to aaghaz mohabbat ka bahut hi pur-kaif
aur ab talKH hai anjam KHuda KHair kare
dastan-e-rasan-o-dar na taza ho jae
un ke lab par hai mera nam KHuda KHair kare
be-irada lab-e-mayus pe kyon aaya hai
shikwa-e-gardish-e-ayyam KHuda KHair kare
ab na maiKHane mein wo agli si raunaq baqi
na wo mina hai na wo jam KHuda KHair kare
KHalish-e-dard hi marne ke liye kya kam thi
us pe ye hasrat-o-alam KHuda KHair kare
husn-e-dil toD ke mamduh-e-jahan hai 'arshad'
hae ye KHu-e-dil-aram KHuda KHair kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.