aa gaya jab intizam-e-dahr apne hath mein
aa gayā jab intizām-e-dahr apne haath meñ
ghol dī saare gunāhoñ kī siyāhī raat meñ
kal charindoñ kī tarah mā'sūm lagtā thā jinheñ
ab shikārī kī tarah rahtā huuñ un kī ghaat meñ
ik zarā apnī taraf maiñ ne uThā.ī thī nazar
aaj tak masrūf huuñ maiñ ehtimām-e-zāt meñ
ai rasūlo ai kitābo tum se sharminda huuñ maiñ
bhuul baiThā thā maiñ tum ko shiddat-e-jazbāt meñ
ahl-e-dil ke vāste 'ibrat kī sūrat ban gayā
shahr-e-ḳhūbāñ se jo laayā ranj-o-ġham sauġhāt meñ
aa gaya jab intizam-e-dahr apne hath mein
ghol di sare gunahon ki siyahi raat mein
kal charindon ki tarah ma'sum lagta tha jinhen
ab shikari ki tarah rahta hun un ki ghat mein
ek zara apni taraf main ne uThai thi nazar
aaj tak masruf hun main ehtimam-e-zat mein
ai rasulo ai kitabo tum se sharminda hun main
bhul baiTha tha main tum ko shiddat-e-jazbaat mein
ahl-e-dil ke waste 'ibrat ki surat ban gaya
shahr-e-KHuban se jo laya ranj-o-gham saughat mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.