aa gayā vasl meñ un ko jo pasīnā ThanDā
mujh se bole ki huā ab to kalejā ThanDā
sho.ala-e-dāġh ko aahoñ se baḌhā dete haiñ
sūrat-e-sham.a vo karte haiñ kalejā ThanDā
maiñ jo rotā huuñ to hañs hañs ke ye farmāte haiñ
terī aahoñ ne kiyā merā kalejā ThanDā
ḳhuun mujh par na ho parvāne jale jaate haiñ
kar charāġh-e-sar-e-marqad ko ḳhudāyā ThanDā
band bulbul kī huiiñ kunj-e-qafas meñ āñkheñ
sehn-e-gulshan se jo aaya koī jhoñkā ThanDā
sard naale jo kiye furqat-e-gul meñ shab ko
āh-e-bulbul se huā baaġh kā rastā ThanDā
sard aaheñ jo bharīñ baiTh ke sāhil pe kabhī
aur bhī ho gayā dariyā kā kinārā ThanDā
sham.a-rū garmiyāñ kyūñkar na kareñ mahfil meñ
dil jaleñ aur ke un kā ho kalejā ThanDā
aag dil meñ hai qayāmat kī lagī ai jarrāh
ātishīñ daaġh pe rakh de koī phāhā ThanDā
vasl be-hijr ke hotā nahīñ 'fāḳhir' ko nasīb
dil jalāte haiñ to karte haiñ kalejā ThanDā
aa gaya wasl mein un ko jo pasina ThanDa
mujh se bole ki hua ab to kaleja ThanDa
shoala-e-dagh ko aahon se baDha dete hain
surat-e-shama wo karte hain kaleja ThanDa
main jo rota hun to hans hans ke ye farmate hain
teri aahon ne kiya mera kaleja ThanDa
KHun mujh par na ho parwane jale jate hain
kar charagh-e-sar-e-marqad ko KHudaya ThanDa
band bulbul ki huin kunj-e-qafas mein aankhen
sehn-e-gulshan se jo aaya koi jhonka ThanDa
sard nale jo kiye furqat-e-gul mein shab ko
aah-e-bulbul se hua bagh ka rasta ThanDa
sard aahen jo bharin baiTh ke sahil pe kabhi
aur bhi ho gaya dariya ka kinara ThanDa
shama-ru garmiyan kyunkar na karen mahfil mein
dil jalen aur ke un ka ho kaleja ThanDa
aag dil mein hai qayamat ki lagi ai jarrah
aatishin dagh pe rakh de koi phaha ThanDa
wasl be-hijr ke hota nahin 'faKHir' ko nasib
dil jalate hain to karte hain kaleja ThanDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.