Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aa hijr ka Dar nikalte hain

Anjum Khayali

aa hijr ka Dar nikalte hain

Anjum Khayali

MORE BYAnjum Khayali

    aa hijr Dar nikālte haiñ

    raste se safar nikālte haiñ

    ab āñkheñ nahīñ nikālī jātīñ

    āñkhoñ se nazar nikālte haiñ

    peḌoñ meñ rah ke bhī parinde

    patte nahīñ par nikālte haiñ

    afsos ke ġhota-zan hamāre

    ujrat pe guhar nikālte haiñ

    pattharoñ meñ kahīñ to hai vo sūrat

    jo ahl-e-hunar nikālte haiñ

    aa hijr ka Dar nikalte hain

    raste se safar nikalte hain

    ab aankhen nahin nikali jatin

    aankhon se nazar nikalte hain

    peDon mein rah ke bhi parinde

    patte nahin par nikalte hain

    afsos ke ghota-zan hamare

    ujrat pe guhar nikalte hain

    pattharon mein kahin to hai wo surat

    jo ahl-e-hunar nikalte hain

    Source :
    • Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 167)
    • Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now