aa ja ab to sham ka manzar bhi dhundhla ho gaya
aa jā ab to shaam kā manzar bhī dhuñdhlā ho gayā
rāstoñ ne muuñd lī āñkheñ añdherā ho gayā
baiTh kar jis ke kināre tū ne khaa.ī thī qasam
vo nadī kahtī hai terā va.ada jhūTā ho gayā
kaun aaya dhuup sā ujlā mire ghar meñ jise
dekh kar dīvār kā bhī rang gorā ho gayā
toḌ ke apne kināre us se milne chal paḌā
ik samundar pyaar meñ dariyā ke andhā ho gayā
shāḳh se palkoñ kī ḳhvāboñ ke parinde uḌ ga.e
rah ga.iiñ vīrān āñkheñ dil bhī suunā ho gayā
hai gumāñ mujh ko ki aañsū mere motī ban ga.e
hai yaqīñ us ko ki dāman us kā mailā ho gayā
kar liyā hālāt se samjhautā us ne dostoñ
be-dilī se hī sahī par vo kisī kā ho gayā
mausamoñ meñ ab kahāñ pahle sī vo rangīniyāñ
bin tumhāre zindagī kā rang phīkā ho gayā
jaise pushtainī havelī qarze meñ nīlām ho
aise hālatoñ meñ ik din dil kā saudā ho gayā
aa ja ab to sham ka manzar bhi dhundhla ho gaya
raston ne mund li aankhen andhera ho gaya
baiTh kar jis ke kinare tu ne khai thi qasam
wo nadi kahti hai tera wada jhuTa ho gaya
kaun aaya dhup sa ujla mere ghar mein jise
dekh kar diwar ka bhi rang gora ho gaya
toD ke apne kinare us se milne chal paDa
ek samundar pyar mein dariya ke andha ho gaya
shaKH se palkon ki KHwabon ke parinde uD gae
rah gain viran aankhen dil bhi suna ho gaya
hai guman mujh ko ki aansu mere moti ban gae
hai yaqin us ko ki daman us ka maila ho gaya
kar liya haalat se samjhauta us ne doston
be-dili se hi sahi par wo kisi ka ho gaya
mausamon mein ab kahan pahle si wo ranginiyan
bin tumhaare zindagi ka rang phika ho gaya
jaise pushtaini haweli qarze mein nilam ho
aise haalaton mein ek din dil ka sauda ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.