aa ja andheri raaten tanha bita chuka hun
aa jā añdherī rāteñ tanhā bitā chukā huuñ
sham.eñ jahāñ na jaltīñ āñkheñ jalā chukā huuñ
ḳhurshīd-e-shām-e-rafta lauTe to us se pūchhūñ
maiñ zindagī kī kitnī sub.heñ gañvā chukā huuñ
ummīd-o-bīm-e-shab ne ye bhī bhulā diyā hai
kitne diye jalā.e kitne bujhā chukā huuñ
maiñ bāz-gasht-e-dil huuñ paiham shikast-e-dil huuñ
vo aazmā rahā huuñ jo aazmā chukā huuñ
ye shab bujhī bujhī hai shāyad ki āḳhirī hai
ai sub.h-e-dard tere nazdīk aa chukā huuñ
mujh ko fareb mat de ai mausam-e-bahārāñ
aise ka.ī shagūfe maiñ bhī khilā chukā huuñ
sūraj tulūa hoñ yā sūraj ġhurūb 'sahbā'
shab-hā-e-ġham ke parde ḳhud par girā chukā huuñ
aa ja andheri raaten tanha bita chuka hun
shamen jahan na jaltin aankhen jala chuka hun
KHurshid-e-sham-e-rafta lauTe to us se puchhun
main zindagi ki kitni subhen ganwa chuka hun
ummid-o-bim-e-shab ne ye bhi bhula diya hai
kitne diye jalae kitne bujha chuka hun
main baz-gasht-e-dil hun paiham shikast-e-dil hun
wo aazma raha hun jo aazma chuka hun
ye shab bujhi bujhi hai shayad ki aaKHiri hai
ai subh-e-dard tere nazdik aa chuka hun
mujh ko fareb mat de ai mausam-e-bahaaran
aise kai shagufe main bhi khila chuka hun
suraj tulua hon ya suraj ghurub 'sahba'
shab-ha-e-gham ke parde KHud par gira chuka hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.