aa jae na raat kashtiyon mein
aa jaa.e na raat kashtiyoñ meñ
pheñko na charāġh pāniyoñ meñ
ik chādar-e-ġham badan pe le kar
dar dar phirā huuñ sardiyoñ meñ
dhāgoñ kī tarah ulajh gayā hai
ik shaḳhs mirī burā.iyoñ meñ
us shaḳhs se yuuñ milā huuñ jaise
gir jaa.e nadī samundaroñ meñ
lohār kī bhaTTī hai ye duniyā
bande haiñ azaab kī rutoñ meñ
ab un ke sire kahāñ mileñge
TuuTe haiñ jo ḳhvāb zalzaloñ meñ
mausam pe zavāl aa rahā hai
khilte the gulāb khiḌkiyoñ meñ
andar to hai raaj rat-jagoñ kā
bāhar kī fazā hai āñdhiyoñ meñ
kohra sā bharā huā hai 'ḳhāvar'
āñkhoñ ke udaas jhoñpaḌoñ meñ
aa jae na raat kashtiyon mein
phenko na charagh paniyon mein
ek chadar-e-gham badan pe le kar
dar dar phira hun sardiyon mein
dhagon ki tarah ulajh gaya hai
ek shaKHs meri buraiyon mein
us shaKHs se yun mila hun jaise
gir jae nadi samundaron mein
lohaar ki bhaTTi hai ye duniya
bande hain azab ki ruton mein
ab un ke sire kahan milenge
TuTe hain jo KHwab zalzalon mein
mausam pe zawal aa raha hai
khilte the gulab khiDkiyon mein
andar to hai raj rat-jagon ka
bahar ki faza hai aandhiyon mein
kohra sa bhara hua hai 'KHawar'
aankhon ke udas jhonpaDon mein
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 227)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (25Edition Nov. Dec. 1986)
- Edition : 25Edition Nov. Dec. 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.