aa jao mohabbat ke ye mausam na milenge
aa jaao mohabbat ke ye mausam na mileñge
mausam jo palaT aa.e to phir ham na mileñge
is tarh agar ḳhuun se khelī ga.ī holī
zaḳhmoñ ke liye phir kahīñ marham na mileñge
'aasī huuñ gunahgār huuñ baḳhshish kā talabgār
daftar mire 'isyāñ ke tujhe kam na mileñge
duniyā kī har ik shai vahāñ mil jā.egī lekin
jannat meñ kabhī ham ko magar ġham na mileñge
jis daur meñ ehsās ke siine pe lageñ zaḳhm
is daur meñ ai 'dard' tujhe ham na mileñge
aa jao mohabbat ke ye mausam na milenge
mausam jo palaT aae to phir hum na milenge
is tarh agar KHun se kheli gai holi
zaKHmon ke liye phir kahin marham na milenge
'asi hun gunahgar hun baKHshish ka talabgar
daftar mere 'isyan ke tujhe kam na milenge
duniya ki har ek shai wahan mil jaegi lekin
jannat mein kabhi hum ko magar gham na milenge
jis daur mein ehsas ke sine pe lagen zaKHm
is daur mein ai 'dard' tujhe hum na milenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.