aa ke mahfil mein teri gham se kinara na hua
aa ke mahfil meñ tirī ġham se kinārā na huā
mujh sā duniyā meñ koī dard kā maarā na huā
āḳhir ashkoñ ne hī sab hāl-e-dil-e-zār kahā
kuchh zabāñ se mirī iz.hār kā yaarā na huā
ye kahā thā ki mire ghar meñ vo aa.eñ yak din
aa ga.e taish meñ shāyad ye gavārā na huā
kis tarah mere muqaddar kā sitārā chamke
un kī jānib se koī aisā ishārā na huā
Dar se tauhīn-e-mohabbat ke maiñ ḳhāmosh rahā
naam phir le ke pukārūñ ye gavārā na huā
dard-o-ġham jaur-o-sitam āh-o-fuġhāñ ranj-o-malāl
ye to sab mil ga.e 'nāzī' vo hamārā na huā
aa ke mahfil mein teri gham se kinara na hua
mujh sa duniya mein koi dard ka mara na hua
aaKHir ashkon ne hi sab haal-e-dil-e-zar kaha
kuchh zaban se meri izhaar ka yara na hua
ye kaha tha ki mere ghar mein wo aaen yak din
aa gae taish mein shayad ye gawara na hua
kis tarah mere muqaddar ka sitara chamke
un ki jaanib se koi aisa ishaara na hua
Dar se tauhin-e-mohabbat ke main KHamosh raha
nam phir le ke pukarun ye gawara na hua
dard-o-gham jaur-o-sitam aah-o-fughan ranj-o-malal
ye to sab mil gae 'nazi' wo hamara na hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.