aa meri jaan kabhi pyar ki pahchan mein aa
aa mirī jaan kabhī pyaar kī pahchān meñ aa
tū agar sho.ala hai to dīda-e-hairān meñ aa
muskurātā huā tū chāñd sitāroñ se nikal
aur hañstā huā bhūle se kabhī jaan meñ aa
tishnagī Thahrī bujhānā to bayābāñ pe baras
god meñ maañ kī utar dhartī ke pistān meñ aa
dasht-e-vahshat se mire is qadar āsāñ na guzar
chhoḌ āñkhoñ ko mirī dast-o-garebān meñ aa
qatra-qatra mirī āñkhoñ se mire dil meñ utar
rafta-rafta mire siine se mirī jaan meñ aa
shorish-e-jāñ se mirī aise na katrā ke guzar
merī sāñsoñ kā maza le mire haijān meñ aa
barg-e-āvāra pe hī likh de hikāyat apnī
aa mirī jaan kabhī harf-e-pareshān meñ aa
dekh le apnī ḳhudā.ī kā tamāshā ḳhud hī
āsmāñ vaale kabhī paikar-e-insān meñ aa
aa meri jaan kabhi pyar ki pahchan mein aa
tu agar shoala hai to dida-e-hairan mein aa
muskuraata hua tu chand sitaron se nikal
aur hansta hua bhule se kabhi jaan mein aa
tishnagi Thahri bujhana to bayaban pe baras
god mein man ki utar dharti ke pistan mein aa
dasht-e-wahshat se mere is qadar aasan na guzar
chhoD aankhon ko meri dast-o-gareban mein aa
qatra-qatra meri aankhon se mere dil mein utar
rafta-rafta mere sine se meri jaan mein aa
shorish-e-jaan se meri aise na katra ke guzar
meri sanson ka maza le mere haijaan mein aa
barg-e-awara pe hi likh de hikayat apni
aa meri jaan kabhi harf-e-pareshan mein aa
dekh le apni KHudai ka tamasha KHud hi
aasman wale kabhi paikar-e-insan mein aa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.