aa na jaana baat mein shaitan ki
aa na jaanā baat meñ shaitān kī
yaad rakhnā hashr ke maidān kī
bāġh-e-dil kā tazkira kuchh yuuñ huā
baat jaise ho kisī shamshān kī
ghar se barakat is liye bhī uTh ga.ī
qadr kar paa.e na dastarḳhvān kī
kah nahīñ saktā mukammal jo ġhazal
vo bhī tayyārī meñ hai dīvān kī
maiñ to kab kā mar chukā huuñ dosto
ye sadā hai dafn ke e'lān kī
ham ne dekhā pattharoñ ko TūTte
ham ne chīḳheñ bhī sunīñ chaTTān kī
'faiz' kar do kal adā qarz-e-vafā
āḳhirī tārīḳh hai bhugtān kī
aa na jaana baat mein shaitan ki
yaad rakhna hashr ke maidan ki
bagh-e-dil ka tazkira kuchh yun hua
baat jaise ho kisi shamshan ki
ghar se barakat is liye bhi uTh gai
qadr kar pae na dastarKHwan ki
kah nahin sakta mukammal jo ghazal
wo bhi tayyari mein hai diwan ki
main to kab ka mar chuka hun dosto
ye sada hai dafn ke e'lan ki
hum ne dekha pattharon ko TuTte
hum ne chiKHen bhi sunin chaTTan ki
'faiz' kar do kal ada qarz-e-wafa
aaKHiri tariKH hai bhugtan ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.