aa rahi hai ye tur se aawaz
aa rahī hai ye tuur se āvāz
aa.e vo jis ko tāb-e-dīd pe naaz
ye taḌap aur ye aah rūh-e-gudāz
haa.e haiñ apnā ḳhud nahīñ hamrāz
hai vahīñ ibtidā-e-sarhad-e-nāz
ho jahāñ ḳhatm 'aql kī parvāz
vo muqarrar to dar kareñ apnā
DhūñD legī mirī jabīn-e-niyāz
ek mizrāb-e-ġham meñ TuuT gayā
kitnā nāzuk thā zindagī kā saaz
parda-e-zīst uTThā rahā huuñ maiñ
ab to uTh parda-e-harīm-e-nāz
un kī nīchī nazar kā ochhā tiir
dil meñ hai misl-e-umr-e-ḳhizr darāz
vaqt-e-āḳhir nafas meñ paatā huuñ
terī raftār-e-nāz ke andāz
kaisā giryāñ hai kaisā nādim hai
merī mayyat pe merā duniyā-sāz
har zamīñ sair-gāh thī apnī
haa.e vo 'abr' quvvat-e-parvāz
aa rahi hai ye tur se aawaz
aae wo jis ko tab-e-did pe naz
ye taDap aur ye aah ruh-e-gudaz
hae hain apna KHud nahin hamraaz
hai wahin ibtida-e-sarhad-e-naz
ho jahan KHatm 'aql ki parwaz
wo muqarrar to dar karen apna
DhunD legi meri jabin-e-niyaz
ek mizrab-e-gham mein TuT gaya
kitna nazuk tha zindagi ka saz
parda-e-zist uTTha raha hun main
ab to uTh parda-e-harim-e-naz
un ki nichi nazar ka ochha tir
dil mein hai misl-e-umr-e-KHizr daraaz
waqt-e-aKHir nafas mein pata hun
teri raftar-e-naz ke andaz
kaisa giryan hai kaisa nadim hai
meri mayyat pe mera duniya-saz
har zamin sair-gah thi apni
hae wo 'abr' quwwat-e-parwaz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.