aa rahi ho jab utar kar KHud hi chhat par chandni
aa rahī ho jab utar kar ḳhud hī chhat par chāñdnī
kyoñ na dekheñ ham mujassam yaar paikar chāñdnī
ek ḳhālis jhuuT hai sab ke dimāġhoñ meñ yahāñ
sirf un ke hī liye hai aaj shab-bhar chāñdnī
vasl kā aalam yaqīnan hai bayānoñ se pare
chāñdnī hai aaj takiya aur bistar chāñdnī
kaif se bharpūr us kā lams rahtā jāvedāñ
raat ban kar ghul rahī hai mere lab par chāñdnī
kis qadar tārīkiyoñ ke baad aa.ī hai ye shab
aa ga.ī hai aaj vāpas apne hī ghar chāñdnī
sab tumhāre sāmne baiThe hue haiñ dekh lo
kaun hai saanī tumhārā tum se behtar chāñdnī
jab kahā ham ne gale meñ apnī bāheñ Daal kar
tum na jaao to rukī thī bas machal kar chāñdnī
chāñd kā muñh dekhtā huuñ to ye lagtā hai mujhe
aur simaT jaatī hai ḳhud hī apne andar chāñdnī
jab kiyā iqrār us ne naam merā chuum kar
raqs karne lag ga.ī thī chāñdnī par chāñdnī
baap ne ruḳhsat kiyā thā saath mere is liye
pur-sukūñ hālāt meñ hai us kī duḳhtar chāñdnī
ye munaqqash bām-o-dar ye raushnī ke silsile
rū-ba-rū hai tere jaisā dekh manzar chāñdnī
baat karnā to añdhero meñ nahīñ rakhnā use
phir chalī jaa.e na vāpas ruuTh ke ghar chāñdnī
aa rahi ho jab utar kar KHud hi chhat par chandni
kyon na dekhen hum mujassam yar paikar chandni
ek KHalis jhuT hai sab ke dimaghon mein yahan
sirf un ke hi liye hai aaj shab-bhar chandni
wasl ka aalam yaqinan hai bayanon se pare
chandni hai aaj takiya aur bistar chandni
kaif se bharpur us ka lams rahta jawedan
raat ban kar ghul rahi hai mere lab par chandni
kis qadar tarikiyon ke baad aai hai ye shab
aa gai hai aaj wapas apne hi ghar chandni
sab tumhaare samne baiThe hue hain dekh lo
kaun hai sani tumhaara tum se behtar chandni
jab kaha hum ne gale mein apni bahen Dal kar
tum na jao to ruki thi bas machal kar chandni
chand ka munh dekhta hun to ye lagta hai mujhe
aur simaT jati hai KHud hi apne andar chandni
jab kiya iqrar us ne nam mera chum kar
raqs karne lag gai thi chandni par chandni
bap ne ruKHsat kiya tha sath mere is liye
pur-sukun haalat mein hai us ki duKHtar chandni
ye munaqqash baam-o-dar ye raushni ke silsile
ru-ba-ru hai tere jaisa dekh manzar chandni
baat karna to andhero mein nahin rakhna use
phir chali jae na wapas ruTh ke ghar chandni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.