aab-e-chashm aae aur nahaun main
āb-e-chashm aa.e aur nahā.ūñ maiñ
kuchh piyūñ aur kuchh bahā.ūñ maiñ
āñsuoñ kā hai intizār mujhe
paanī barse to lahlahā.ūñ maiñ
maiñ ki mazdūr-e-'ishq ḳhuuñ meñ nahā.ūñ
kyoñ pasīne meñ hī nahā.ūñ maiñ
mere marne pe log rone lage
un ke rone pe qahqahā.ūñ maiñ
ho gayā vasl jitnā honā thā
bistar-e-jism ab tahā.ūñ maiñ
vo mujhe jitnā sīdhī raah pe laa.e
aur utnā hī gumrāhūñ maiñ
saañp huuñ maiñ to ye zarā sā kyoñ
ḳhuub zahrā.ūñ azhdahā.ūñ maiñ
chāhe jitnā huuñ 'farhat-ullāh-ḳhān'
'farhat-ehsās' hī kahā.ūñ maiñ
aab-e-chashm aae aur nahaun main
kuchh piyun aur kuchh bahaun main
aansuon ka hai intizar mujhe
pani barse to lahlahaun main
main ki mazdur-e-'ishq KHun mein nahaun
kyon pasine mein hi nahaun main
mere marne pe log rone lage
un ke rone pe qahqahaun main
ho gaya wasl jitna hona tha
bistar-e-jism ab tahaun main
wo mujhe jitna sidhi rah pe lae
aur utna hi gumrahun main
sanp hun main to ye zara sa kyon
KHub zahraun azhdahaun main
chahe jitna hun 'farhat-ullah-KHan'
'farhat-ehsas' hi kahaun main
- Book : Mohabbat Kar Ke Dekho Na (Pg. 97)
- Author :Farhat Ehsas
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.