aab-e-rawan hun rasta kyun na DhunDh lun
āb-e-ravāñ huuñ rāsta kyuuñ na DhūñDh luuñ
maiñ tere intizār meñ kab tak rukā rahūñ
tārīkiyāñ muhīt haiñ har anjuman pe aaj
lāzim nahīñ ki maiñ tirī mahfil meñ hī jalūñ
ghabrā rahā hai jī mirā tan ke makān meñ
majbūriyoñ ke saa.e meñ kab tak paḌā rahūñ
niklā huuñ terī bazm se mānind-e-dūd-e-sham.a
chāhūñ bhī ab kabhī to maiñ vāpas na aa sukūñ
milnā tirā to ḳhair baḌī baat hai magar
itnā bhī kam nahīñ hai ki maiñ ḳhud ko DhūñDh luuñ
ḳhud se bhī koī rabt nahīñ merā in dinoñ
tujh se ta.alluqāt kī tajrīd kyā karūñ
āñkheñ bujhī bujhī haiñ to manzar miTe miTe
ai zindagī kahāñ se tujhe āb-o-rañg duuñ
'rūhī' ye daur-e-zīst musalsal azaab hai
khul kar na hañs sakūñ na kabhī khul ke ro sakūñ
aab-e-rawan hun rasta kyun na DhunDh lun
main tere intizar mein kab tak ruka rahun
tarikiyan muhit hain har anjuman pe aaj
lazim nahin ki main teri mahfil mein hi jalun
ghabra raha hai ji mera tan ke makan mein
majburiyon ke sae mein kab tak paDa rahun
nikla hun teri bazm se manind-e-dud-e-shama
chahun bhi ab kabhi to main wapas na aa sukun
milna tera to KHair baDi baat hai magar
itna bhi kam nahin hai ki main KHud ko DhunDh lun
KHud se bhi koi rabt nahin mera in dinon
tujh se talluqat ki tajrid kya karun
aankhen bujhi bujhi hain to manzar miTe miTe
ai zindagi kahan se tujhe aab-o-rang dun
'ruhi' ye daur-e-zist musalsal azab hai
khul kar na hans sakun na kabhi khul ke ro sakun
- Book : auraq salnama magazines (Pg. auraq salnama magazines)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967)
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.