aabaad dil ke hote hi ghar nam paD gaya
ābād dil ke hote hī ghar naam paḌ gayā
dīvār kyā girī ki khañDar naam paḌ gayā
paanī thā sar se ūñchā kabhī shahr-e-chashm meñ
bārish rukī to dīda-e-tar naam paḌ gayā
baḳhshī samar ne biij ko shohrat sifāt kī
koñpal javāñ huī to shajar naam paḌ gayā
zarre ko āftāb kiyā kis ḳhayāl ne
kis naqsh-e-pā se rāhguzar naam paḌ gayā
gahrā.iyoñ se un kī na phir lauTīñ kashtiyāñ
Duube to chashm-e-tar kā bhañvar naam paḌ gayā
sūraj ke qatl-e-ām se bikhre mah-o-nujūm
ik jabr kā tulū-e-sahar naam paḌ gayā
rakkhā hai qaid gardish-e-āfāq meñ mujhe
in tang dā.eroñ kā safar naam paḌ gayā
sīpoñ kī kāvishoñ ko sarāhā na dahr ne
patthar kā jaane kaise guhar naam paḌ gayā
ḳhūn-e-jigar se paa.ī hai lafzoñ ne zindagī
ehsās bol uThā to hunar naam paḌ gayā
iz.hār-e-fan meñ ham ne kiye tajrabe na.e
āñkhoñ kī guftugū se 'nazar' naam paḌ gayā
aabaad dil ke hote hi ghar nam paD gaya
diwar kya giri ki khanDar nam paD gaya
pani tha sar se uncha kabhi shahr-e-chashm mein
barish ruki to dida-e-tar nam paD gaya
baKHshi samar ne bij ko shohrat sifat ki
konpal jawan hui to shajar nam paD gaya
zarre ko aaftab kiya kis KHayal ne
kis naqsh-e-pa se rahguzar nam paD gaya
gahraiyon se un ki na phir lauTin kashtiyan
Dube to chashm-e-tar ka bhanwar nam paD gaya
suraj ke qatl-e-am se bikhre mah-o-nujum
ek jabr ka tulu-e-sahar nam paD gaya
rakkha hai qaid gardish-e-afaq mein mujhe
in tang daeron ka safar nam paD gaya
sipon ki kawishon ko saraha na dahr ne
patthar ka jaane kaise guhar nam paD gaya
KHun-e-jigar se pai hai lafzon ne zindagi
ehsas bol uTha to hunar nam paD gaya
izhaar-e-fan mein hum ne kiye tajrabe nae
aankhon ki guftugu se 'nazar' nam paD gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.