aabaad hai andeshon se dil kya kiya jae
ābād hai andeshoñ se dil kyā kiyā jaa.e
kyā fikr ko āmāda-e-saharā kiyā jaa.e
ab lutf mujhe dene lage paañv ke chhāle
dushvār mirā aur bhī rasta kiyā jaa.e
idrāk-e-tahayyur ke khulīñ mujh pe bhī raste
maiñ apnī ḳhabar luuñ mujhe tanhā kiyā jaa.e
ā.īne ke chehre se haTe gard kisī taur
ab sāmne mere mirā chehra kiyā jaa.e
hisse meñ mire aa to ga.ī dard kī sauġhāt
ab chal ke zarā shukr kā sajda kiyā jaa.e
kyā itnā baḌā jurm thā dil us se lagānā
kyā thā ye munāsib mujhe rusvā kiyā jaa.e
itnī bhī nigāhoñ pe na ho jalvoñ kī bandish
itnā bhī na in āñkhoñ se pardā kiyā jaa.e
kyā arz-e-talab ke liye muñh kholnā yāvar
bas ḳhatm ḳhamoshī pe ye qissa kiyā jaa.e
aabaad hai andeshon se dil kya kiya jae
kya fikr ko aamada-e-sahara kiya jae
ab lutf mujhe dene lage panw ke chhaale
dushwar mera aur bhi rasta kiya jae
idrak-e-tahayyur ke khulin mujh pe bhi raste
main apni KHabar lun mujhe tanha kiya jae
aaine ke chehre se haTe gard kisi taur
ab samne mere mera chehra kiya jae
hisse mein mere aa to gai dard ki saughat
ab chal ke zara shukr ka sajda kiya jae
kya itna baDa jurm tha dil us se lagana
kya tha ye munasib mujhe ruswa kiya jae
itni bhi nigahon pe na ho jalwon ki bandish
itna bhi na in aankhon se parda kiya jae
kya arz-e-talab ke liye munh kholna yawar
bas KHatm KHamoshi pe ye qissa kiya jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.