aabaad usi se hai virana mohabbat ka
ābād usī se hai vīrāna mohabbat kā
hushyāroñ se baḌh kar hai dīvāna mohabbat kā
vo ras bharī āñkheñ haiñ mai-ḳhāna mohabbat kā
chaltā hai nigāhoñ se paimāna mohabbat kā
allāh ne baḳhshī hai kyā nashv-o-numā us ko
sau ḳhirman-e-hastī hai ik daana mohabbat kā
tum jaur-o-jafā kar lo ham mehr-o-vafā kar leñ
puurā bhī to ho jaa.e afsāna mohabbat kā
saaqī jo na de baada shikva nahīñ kar sakte
ho zarf to miltā hai paimāna mohabbat kā
jibrīl ke shah-par bhī parvāz se rah jaa.eñ
hai arsh se bhī ūñchā kāshāna mohabbat kā
us bazm kī mastī kyoñ baḌh kar na rahe 'sāqib'
maḳhmūr ne rakkhā hai paimāna mohabbat kā
aabaad usi se hai virana mohabbat ka
hushyaron se baDh kar hai diwana mohabbat ka
wo ras bhari aankhen hain mai-KHana mohabbat ka
chalta hai nigahon se paimana mohabbat ka
allah ne baKHshi hai kya nashw-o-numa us ko
sau KHirman-e-hasti hai ek dana mohabbat ka
tum jaur-o-jafa kar lo hum mehr-o-wafa kar len
pura bhi to ho jae afsana mohabbat ka
saqi jo na de baada shikwa nahin kar sakte
ho zarf to milta hai paimana mohabbat ka
jibril ke shah-par bhi parwaz se rah jaen
hai arsh se bhi uncha kashana mohabbat ka
us bazm ki masti kyon baDh kar na rahe 'saqib'
maKHmur ne rakkha hai paimana mohabbat ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.