aabla-pai gawara KHastagi manzur hai
ābla-pā.ī gavārā ḳhastagī manzūr hai
pūchhnā ye hai ki manzil aur kitnī duur hai
ho vo insāñ kī ḳhudā.ī yā mashīnoñ kā nizām
zad pe istehsāl kī mazdūr thā mazdūr hai
mohtasib mahkūm hoñ hākim ho zer-e-ehtisāb
banda-parvar bas yahī islām kā dastūr hai
dekhnā aaya to nasloñ tak añdherā chhā gayā
maslahat kahtī rahī sab raushnī hai nuur hai
sarhadoñ par dushmanoñ kī fauj ghar meñ apnī fauj
saare gulshan kī fazā bārūd se māmūr hai
barchhiyoñ kī nok par ailān-e-haq sheva mirā
fikr ke ḳheme jalānā aap kā manshūr hai
shahr ke saare ujāle justujū-e-nūr meñ
raushnī kī har haqīqat aañkh se mastūr hai
zaat se ġhāfil huā tasḳhīr-e-mehr-o-māh meñ
aadmī apnī anā meñ kis qadar mahsūr hai
jurm-e-haq-goī kā hai iqrār us ko barmalā
manzil-e-dār-o-rasan kā mustahiq 'āshūr' hai
aabla-pai gawara KHastagi manzur hai
puchhna ye hai ki manzil aur kitni dur hai
ho wo insan ki KHudai ya mashinon ka nizam
zad pe istehsal ki mazdur tha mazdur hai
mohtasib mahkum hon hakim ho zer-e-ehtisab
banda-parwar bas yahi islam ka dastur hai
dekhna aaya to naslon tak andhera chha gaya
maslahat kahti rahi sab raushni hai nur hai
sarhadon par dushmanon ki fauj ghar mein apni fauj
sare gulshan ki faza barud se mamur hai
barchhiyon ki nok par ailan-e-haq shewa mera
fikr ke KHeme jalana aap ka manshur hai
shahr ke sare ujale justuju-e-nur mein
raushni ki har haqiqat aankh se mastur hai
zat se ghafil hua tasKHir-e-mehr-o-mah mein
aadmi apni ana mein kis qadar mahsur hai
jurm-e-haq-goi ka hai iqrar us ko barmala
manzil-e-dar-o-rasan ka mustahiq 'ashur' hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.