aabru kya pairahan jab be-gareban rah gaya
aabru kya pairahan jab be-gareban rah gaya
Syed Yusuf Ali Khan Nazim
MORE BYSyed Yusuf Ali Khan Nazim
aabrū kyā pairahan jab be-garebāñ rah gayā
baare aañsū puchh ga.e mere ki dāmāñ rah gayā
haiñ yahīñ ke ye bhī phir a.amāl kyoñ jaate haiñ saath
jo kiyā thā ham ne yaañ paidā vo sab yaañ rah gayā
aadmī par rāz-e-husn-e-be-nishāñ kyoñ kar khule
jis qadar zāhir huā utnā hī pinhāñ ho gayā
khā.eñ kyoñ ġham gar nahīñ baaqī nishān-e-jū-e-shīr
kyā vo shīrīñ rah ga.ī us kā shabistāñ rah gayā
kal ham un se mil ke kah aa.e haiñ apnā dard-e-dil
phir bhī 'nāzim' shikva-e-bedād-e-darbāñ rah gayā
aabru kya pairahan jab be-gareban rah gaya
bare aansu puchh gae mere ki daman rah gaya
hain yahin ke ye bhi phir aamal kyon jate hain sath
jo kiya tha hum ne yan paida wo sab yan rah gaya
aadmi par raaz-e-husn-e-be-nishan kyon kar khule
jis qadar zahir hua utna hi pinhan ho gaya
khaen kyon gham gar nahin baqi nishan-e-ju-e-shir
kya wo shirin rah gai us ka shabistan rah gaya
kal hum un se mil ke kah aae hain apna dard-e-dil
phir bhi 'nazim' shikwa-e-bedad-e-darban rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.