aadab-e-junun ahl-e-nazar bhul gae hain
ādāb-e-junūñ ahl-e-nazar bhuul ga.e haiñ
jiite to haiñ jiine kā hunar bhuul ga.e haiñ
kyā ahl-e-safar zauq-e-safar bhuul ga.e haiñ
raste meñ haiñ manzil kī ḳhabar bhuul ga.e haiñ
ġham bhuul ga.e ġham kā asar bhuul ga.e haiñ
tum kyā mile ham ḳhud ko magar bhuul ga.e haiñ
hijrat ke azāboñ meñ basar aisī huī hai
ik umr se ham apnā nagar bhuul ga.e haiñ
duniyā ke ġham apnoñ ke sitam vaqt ke tevar
kyā kyā na mire dīda-e-tar bhuul ga.e haiñ
tūfāñ pe hī rakhte haiñ nazar ahl-e-zamāna
maujoñ kī siyāsat ko magar bhuul ga.e haiñ
vo garmī-e-hālāt na zehnoñ meñ vo halchal
kyā hādse aanā hī idhar bhuul ga.e haiñ
kyā baat thī qātil se jo mansūb huī thī
maqtal meñ jhukā.e hue sar bhuul ga.e haiñ
gulshan kī fazāoñ meñ ghuTan aa ga.ī kitnī
hañsne kī adā tak gul-e-tar bhuul ga.e haiñ
jo Daal rahe the kabhī sūraj pe kamandeñ
vo log ujāloñ kā safar bhuul ga.e haiñ
āġhāz-e-safar apnā kiyā ham ne jahāñ se
ham rakh ke vahīñ zād-e-safar bhuul ga.e haiñ
tum aglī sharāfat kā sabaq phir se paḌhānā
is daur ke insān agar bhuul ga.e haiñ
'ārif' maiñ gila kis se karūñ be-asarī kā
tāle.a hī mire bāb-e-asar bhuul ga.e haiñ
aadab-e-junun ahl-e-nazar bhul gae hain
jite to hain jine ka hunar bhul gae hain
kya ahl-e-safar zauq-e-safar bhul gae hain
raste mein hain manzil ki KHabar bhul gae hain
gham bhul gae gham ka asar bhul gae hain
tum kya mile hum KHud ko magar bhul gae hain
hijrat ke azabon mein basar aisi hui hai
ek umr se hum apna nagar bhul gae hain
duniya ke gham apnon ke sitam waqt ke tewar
kya kya na mere dida-e-tar bhul gae hain
tufan pe hi rakhte hain nazar ahl-e-zamana
maujon ki siyasat ko magar bhul gae hain
wo garmi-e-haalat na zehnon mein wo halchal
kya hadse aana hi idhar bhul gae hain
kya baat thi qatil se jo mansub hui thi
maqtal mein jhukae hue sar bhul gae hain
gulshan ki fazaon mein ghuTan aa gai kitni
hansne ki ada tak gul-e-tar bhul gae hain
jo Dal rahe the kabhi suraj pe kamanden
wo log ujalon ka safar bhul gae hain
aaghaz-e-safar apna kiya hum ne jahan se
hum rakh ke wahin zad-e-safar bhul gae hain
tum agli sharafat ka sabaq phir se paDhana
is daur ke insan agar bhul gae hain
'arif' main gila kis se karun be-asari ka
talea hi mere bab-e-asar bhul gae hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.