aadamiyyat ki kami aaj jis insan mein hai
aadamiyyat ki kami aaj jis insan mein hai
Chandra Parkash Jauhar Bijnauri
MORE BYChandra Parkash Jauhar Bijnauri
ādamiyyat kī kamī aaj jis insān meñ hai
vo na hindū meñ hai shāmil na musalmān meñ hai
zindagānī kā umañDtā huā ye sail-e-ravāñ
jo safīna hai talātum meñ hai tūfān meñ hai
is zamāne ke masā.il kā sulajhnā ma.alūm
ziist uljhī huī ḳhud apne garebān meñ hai
amn-o-tahzīb pe hai maut kā aalam taarī
dekhiye jis ko vahī jang ke maidān meñ hai
haram-o-dair kī tasvīr-e-mujassam huuñ maiñ
kufr kā rang bhī shāmil mire īmān meñ hai
is haqīqat kā nahīñ saare zamāne meñ javāb
jo haqīqat mire afsāne ke unvān meñ hai
jo bhī paḌhtā hai vahī dād-e-suḳhan detā hai
koī tāsīr to 'jauhar' tire dīvān meñ hai
aadamiyyat ki kami aaj jis insan mein hai
wo na hindu mein hai shamil na musalman mein hai
zindagani ka umanDta hua ye sail-e-rawan
jo safina hai talatum mein hai tufan mein hai
is zamane ke masail ka sulajhna malum
zist uljhi hui KHud apne gareban mein hai
amn-o-tahzib pe hai maut ka aalam tari
dekhiye jis ko wahi jang ke maidan mein hai
haram-o-dair ki taswir-e-mujassam hun main
kufr ka rang bhi shamil mere iman mein hai
is haqiqat ka nahin sare zamane mein jawab
jo haqiqat mere afsane ke unwan mein hai
jo bhi paDhta hai wahi dad-e-suKHan deta hai
koi tasir to 'jauhar' tere diwan mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.