aadat ban jati hai jab aawara-gardi
aadat ban jaatī hai jab āvāra-gardī
rahne detī hai ghar kab āvāra-gardī
pahle apne shahr ke saare raste samjho
shauq se khul ke karnā tab āvāra-gardī
kitnī sub.heñ ujlat meñ mar jaatī haiñ
karte haiñ jab maiñ aur shab āvāra-gardī
dar dar ghuum rahā huuñ maiñ ik muddat se
ḳhatm kisī sūrat ho rab āvāra-gardī
ik maiñ hī huuñ 'yāsir' jo badnām huā
vaise to karte haiñ sab āvāra-gardī
aadat ban jati hai jab aawara-gardi
rahne deti hai ghar kab aawara-gardi
pahle apne shahr ke sare raste samjho
shauq se khul ke karna tab aawara-gardi
kitni subhen ujlat mein mar jati hain
karte hain jab main aur shab aawara-gardi
dar dar ghum raha hun main ek muddat se
KHatm kisi surat ho rab aawara-gardi
ek main hi hun 'yasir' jo badnam hua
waise to karte hain sab aawara-gardi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.