aadhe-adhure KHwab rakhen hain aankhon ki almari mein
aadhe-adhure KHwab rakhen hain aankhon ki almari mein
Madhavi Shankar
MORE BYMadhavi Shankar
ādhe-adhūre ḳhvāb rakheñ haiñ āñkhoñ kī almārī meñ
jin ko ham bhī bhuul ga.e the shāyad duniyā-dārī meñ
maanā har ik shai rūThī hai sab ne haath chhuḌā.e haiñ
ye bhī nahīñ kam aap mayassar haiñ aisī dushvārī meñ
jin ko bharte bharte hī maiñ ne ik umr gañvā dī hai
mujh ko mohabbat meñ vo zaḳhm mile the pahlī baarī meñ
us kī diid ko jhuktī palkeñ is andāz se uThtī haiñ
jaise do nāzuk kaliyāñ hoñ khilne kī tayyārī meñ
us ko davā se bhī pahle shāyad ummīd kī hājat hai
jo bhītar se TuuT chukā hai ik lambī bīmārī meñ
aadhe-adhure KHwab rakhen hain aankhon ki almari mein
jin ko hum bhi bhul gae the shayad duniya-dari mein
mana har ek shai ruThi hai sab ne hath chhuDae hain
ye bhi nahin kam aap mayassar hain aisi dushwari mein
jin ko bharte bharte hi main ne ek umr ganwa di hai
mujh ko mohabbat mein wo zaKHm mile the pahli bari mein
us ki did ko jhukti palken is andaz se uThti hain
jaise do nazuk kaliyan hon khilne ki tayyari mein
us ko dawa se bhi pahle shayad ummid ki hajat hai
jo bhitar se TuT chuka hai ek lambi bimari mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.