aadhi aadhi raat tak saDkon ke chakkar kaTiye
aadhī aadhī raat tak saḌkoñ ke chakkar kāTiye
shā.irī bhī ik sazā hai zindagī bhar kāTiye
shab ga.e bīmār logoñ ko jagānā zulm hai
aap hī mazlūm baniye raat bāhar kāTiye
jaal ke andar bhī maiñ taḌpūñgā chīḳhūñgā zarūr
mujh se ḳhā.if haiñ to merī soch ke par kāTiye
koī to ho jis se us zālim kī bāteñ kījiye
chaudhvīñ kā chāñd ho to raat chhat par kāTiye
rone vaalī baat bhī ho to latīfa jāniye
umr ke din kāTne hī haiñ to hañs kar kāTiye
aadhi aadhi raat tak saDkon ke chakkar kaTiye
shairi bhi ek saza hai zindagi bhar kaTiye
shab gae bimar logon ko jagana zulm hai
aap hi mazlum baniye raat bahar kaTiye
jal ke andar bhi main taDpunga chiKHunga zarur
mujh se KHaif hain to meri soch ke par kaTiye
koi to ho jis se us zalim ki baaten kijiye
chaudhwin ka chand ho to raat chhat par kaTiye
rone wali baat bhi ho to latifa jaaniye
umr ke din kaTne hi hain to hans kar kaTiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.