aadhi jagi aadhi soi raat bhi thi gahnai si
aadhī jaagī aadhī soī raat bhī thī gahnā.ī sī
aañkh khulī to dar pe khaḌī thī sub.h bhī kuchh kum.hlā.ī sī
din-bhar piiTh pe Dhoyā sūraj chehre par thī gard jamī
saath meñ daftar se ghar lauTī shaam bhī kuchh uktā.ī sī
andeshoñ kī unglī thāme saal guzarte rahte haiñ
kabhī kabhī lagne lagtī hai apnī umr parā.ī sī
lauT ke jaanā nā-mumkin hai aage manzar dhuñdle haiñ
baḌhte qadmoñ meñ haa.il hai ḳhauf kī gahrī khaa.ī sī
sūkhe sūkhe jamunā taT par piilā piilā tāj-mahal
sub.h-e-banaras dhuñdlī dhuñdlī gangā jī gadlā.ī sī
aadhi jagi aadhi soi raat bhi thi gahnai si
aankh khuli to dar pe khaDi thi subh bhi kuchh kumhlai si
din-bhar piTh pe Dhoya suraj chehre par thi gard jami
sath mein daftar se ghar lauTi sham bhi kuchh uktai si
andeshon ki ungli thame sal guzarte rahte hain
kabhi kabhi lagne lagti hai apni umr parai si
lauT ke jaana na-mumkin hai aage manzar dhundle hain
baDhte qadmon mein hail hai KHauf ki gahri khai si
sukhe sukhe jamuna taT par pila pila taj-mahal
subh-e-banaras dhundli dhundli ganga ji gadlai si
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.