aaDi-tirchhi baat na kar
āḌī-tirchhī baat na kar
hissa de ḳhairāt na kar
pyaar jo hai to sāmne aa
tauhīn-e-jazbāt na kar
dil kī lagī ashkoñ se bujhā
iz.hār-e-hālāt na kar
chehre par zulfeñ na girā
nikhre din ko raat na kar
rok le aañsū āñkhoñ meñ
bin mausam barsāt na kar
mujh ko de de ik sāġhar
pesh koī sauġhāt na kar
nīchā jis se arsh lage
aisī ma.alūmāt na kar
maiñ ne kiyā tujh par vishvās
ġhair se mil kar ghaat na kar
qādir hai qudrat kā nizām
'nūr' ġham-e-hālāt na kar
aaDi-tirchhi baat na kar
hissa de KHairaat na kar
pyar jo hai to samne aa
tauhin-e-jazbaat na kar
dil ki lagi ashkon se bujha
izhaar-e-haalat na kar
chehre par zulfen na gira
nikhre din ko raat na kar
rok le aansu aankhon mein
bin mausam barsat na kar
mujh ko de de ek saghar
pesh koi saughat na kar
nicha jis se arsh lage
aisi malumat na kar
main ne kiya tujh par wishwas
ghair se mil kar ghat na kar
qadir hai qudrat ka nizam
'nur' gham-e-haalat na kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.