aadmi dikhta nahin is shahr mein
aadmī dikhtā nahīñ is shahr meñ
ab koī apnā nahīñ is shahr meñ
har taraf baisākhiyoñ kā shor hai
koī bhī chaltā nahīñ is shahr meñ
shabd arthoñ ko taraste haiñ yahāñ
kyā suḳhan zinda nahīñ is shahr meñ
ho gayā ġhā.eb dupaTToñ kā chalan
āj-kal pardā nahīñ is shahr meñ
jo hue zālim vyavasthā ke shikār
un kī bhī charchā nahīñ is shahr meñ
har taraf galiyoñ meñ sannāTā sā hai
kuchh kahīñ hotā nahīñ is shahr maiñ
aadmi dikhta nahin is shahr mein
ab koi apna nahin is shahr mein
har taraf baisakhiyon ka shor hai
koi bhi chalta nahin is shahr mein
shabd arthon ko taraste hain yahan
kya suKHan zinda nahin is shahr mein
ho gaya ghaeb dupaTTon ka chalan
aaj-kal parda nahin is shahr mein
jo hue zalim wyawastha ke shikar
un ki bhi charcha nahin is shahr mein
har taraf galiyon mein sannaTa sa hai
kuchh kahin hota nahin is shahr main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.