aadmi hun devta banna nahin
aadmī huuñ devtā banñā nahīñ
maiñ kisī se bhī kabhī rūThā nahīñ
sach kā haamī to rahā jhūThā nahīñ
jhūTh mere paas bhī phaTkā nahīñ
hādsoñ se dekh maiñ TuuTā nahīñ
maiñ kisī se bhī kabhī jaltā nahīñ
ḳhushiyāñ aa.iiñ to kabhī jhūmā nahīñ
dukh mile to maiñ kabhī royā nahīñ
ġham mile jo raah meñ siskā nahīñ
āñsuoñ meñ dekh maiñ Duubā nahīñ
chāñd kī apnī koī siimā nahīñ
chāñd kī mahimā kabhī Dhaltā nahīñ
dostī 'āzar' tirī bhūlā nahīñ
dostoñ ne kyā diyā sochā nahīñ
aadmi hun dewta banna nahin
main kisi se bhi kabhi ruTha nahin
sach ka hami to raha jhuTha nahin
jhuTh mere pas bhi phaTka nahin
hadson se dekh main TuTa nahin
main kisi se bhi kabhi jalta nahin
KHushiyan aain to kabhi jhuma nahin
dukh mile to main kabhi roya nahin
gham mile jo rah mein siska nahin
aansuon mein dekh main Duba nahin
chand ki apni koi sima nahin
chand ki mahima kabhi Dhalta nahin
dosti 'azar' teri bhula nahin
doston ne kya diya socha nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.