aadmi insan se haiwan kaise ho gaya
aadmī insān se haivān kaise ho gayā
ek zinda mulk qabristān kaise ho gayā
aag dene vaale hī aa.e haiñ mujh se pūchhne
ek pal meñ shahr ye vīrān kaise ho gayā
kaun hai vo mere haq meñ jo duā.eñ kartā hai
saḳht mushkil marhala āsān kaise ho gayā
us ne sach kahne kī khaa.ī thī qasam har haal meñ
din kā sūraj raat kā mehmān kaise ho gayā
yuuñ to kahne ko yahāñ gangā bhī hai jamunā bhī hai
nazr-e-ātish phir ye hindostān kaise ho gayā
zehn meñ jo nāchtī hai ek kiran be-nām sī
band kamre meñ ye raushan-dān kaise ho gayā
vaise 'nusrat' paa.ī thī virse meñ teġh-e-be-niyām
ḳhauf aisī qaum kā unvān kaise ho gayā
aadmi insan se haiwan kaise ho gaya
ek zinda mulk qabristan kaise ho gaya
aag dene wale hi aae hain mujh se puchhne
ek pal mein shahr ye viran kaise ho gaya
kaun hai wo mere haq mein jo duaen karta hai
saKHt mushkil marhala aasan kaise ho gaya
us ne sach kahne ki khai thi qasam har haal mein
din ka suraj raat ka mehman kaise ho gaya
yun to kahne ko yahan ganga bhi hai jamuna bhi hai
nazr-e-atish phir ye hindostan kaise ho gaya
zehn mein jo nachti hai ek kiran be-nam si
band kamre mein ye raushan-dan kaise ho gaya
waise 'nusrat' pai thi wirse mein tegh-e-be-niyam
KHauf aisi qaum ka unwan kaise ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.